
ابن مریم ہوا کرے کوئ
میرے دکھ کی دوا کرے کوئ
Ibn-e-Maryam hua kare koi Mere dukh ki dawa kare koi
Ye Ghalib ka bahut popular shair hai. Is sher me Ibne-e-Maryam (Maryam ke bête) yani Hazrat Isa (a) ya Jesus Christ ki ek quality ki taraf ishara kiya gaya hai. Prophet Isa ki ye khaasiyat thi wo beemar ko sirf chhoo kar uska ilaaj kar sakte the. Wo zakhmi par hath pher kar zakham thik kar dete the. Shayer kehna chahta hai ki koi insan agar logo ki takleef kam ya khatam karta hai, to isse mera kya fayda, agar koi meri pareshani kam ya khatam karta hai to wo meri nazar me ahmiyat wala hai warna uski bahut achhi khoobi bhi bekar hai.
Agar is shair ko dua ke lehje me parha jaye to doosra matlab nikalta hai ki shayer kisi humdard (sathi) ki tamanna kar raha hai. Maano wo keh raha ki kaash koi Ibn-e-Maryam jaisa meri zindagi me aa jaye aur mere dukh ko duur kar de.
Real Life Example –
Maan lijiye ki mera koi dost, parosi ya rishtedaar bahut ameer hai. Kabhi aisa waqt aya ki main bahut bimar ho gaya aur mujhe kuch paise ki zarurat thi magar usne madad karne se inkar kar diya. To uska ameer hona ya garib hona barabar hai. Aise insaan ko dil ka garib mana jaega aur uski ameeri bekar hai. Isi baat ko Ghalib ne is shair me ek example dekar samjhaya hai.
Agar aap Mirza Ghalib ke baare me aur parhna chaahte hain to unse related kuch books ka link niche diya gaya hai:
The Oxford India Ghalib: Life, Letters and Ghazals (Oxford Indian Collection) by Oxford University Press:- https://amzn.to/3gGQLjs
Ghalib: Selected Poems and Letters By Columbia University Press:- https://amzn.to/3joDmys
Ab aap Ghalib ke shair Amazon Alexa pe bhi sun sakte hain, Rekhta load karke
Echo – New and improved smart speaker with Alexa (Black) by Amazon:- https://amzn.to/32FUpp7